7.Khuda Ko Kyu Nahi Dekh Sakte
Hazrat Sultan Wald riwayat karte hain ke ek din mere walid se maulana Shamsuddeen kehne lage ke mai Tabrez me Shaikh Abu Bakr ka mureed tha. Aur sab Wilayatein maine unse hasil ki. Lekin mujh me ek aisi cheez thi ke na wo mere Shaikh ne dekhi aur na kisi aur ko nazar aayi. Albatta wo Maulana Room Sahab ne dekh li. Is tarah ek roz apne walid se arz ke mai apne bachpan me Khuda ko dekhta tha, Farishte nazar aate the aur Aala se afzal ji tni mugheebaat (chupi cheezein) hain sab nazar aate the. Mujhe gumaan tha shayad saari duniya meri tarah ye haalaat dekhti hogi. Magar maalum hua koi nahi dekhta. Aur mere Peer Shaikh Abu Bakr un haalaat ke izhaar se mujhe mana farmate the. Mere walid ne farmaya ke Shamsuddeen, tumhein martabah kamaalaat azal (shuru) se mila hai. Ye twa'at (ibadat, bandagi, puja) aur riyazat (mehnat) ka nateeja nahin hai. Bilkul usi tarah jaise Hazrat Isa Alaihissalam ko gahwaarah me mojzah inayat hua. Aur mere walid ne hame ye hidayat farmayi thi ke Shaikh Salahudde