APNI KHUDI KO CHORDI KHUD ME KHUDA KO DEKH
ADNA SE AALA BANGAYE AB FAIZ PAKEY HUM
LA TAQNATU KA MASDA HUM KO MILA HAI JABSE
QURBAN HORAHE HAIN FAZLE KHUDA KE HUM
AAYE THEY KHALI HUMTO MASUM JAN BANKAR
JAATEY HAIN MASIYAT KA AB BOJH UTHA KE HUM
JAB TAK KE HUM ME HUM THEY MILNA HUA NA TUM SE
MEHFIL ME AAYE AB TO HUM KO MITA KE HUM
AARAM THEY MAZEY THEY GANJ E KHAFI ME JAB THEY
KYA AAFTON ME PHANS GAYE DUNYA ME AAKE HUM
BEFIKR HAIN FAQEER AB MAHSHAR KE KHAUF SE HUM
KHADIM HUE HAIN JAB SE QALANDAR E AAZAM KE HUM
RAZI ALLAH ANHU

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez