17.Awliya Ka Tawaaf Kaabe Ke Tawaaf Se Behtar

Maulana Rumi farmate hain,
Mere ird gird 7 bar chakkar laga. Aur ye kaam tawaaf hajj se kayi darjah behtar jaanna chahiye. Ye haqeeqat hai ke isne tujhe jaan di aur mujhe apne ghar ki nigrani supurd kardi. Jab tu mujhe dekh le pass tune khuda ko dekh liya, ye aisa hi hai ke tune kaabe ke ird gird tawaf karliya ho. Agar tujhe yaqeen hai ki mai aur zaat khuda alag alag nahi hain to meri khidmat khuda ki taareef aur bandagi se kam na hogi. Agar tu mohobbat ki nazar se mujhe dekhega to insan me tujhe Allah ka noor chamakta nazar aayega
Kitab - Manaqibe Rumi

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez