18.KAMIL PEER KI KYON ZAROORAT
Maulana Room(ra)ki rooh parwar talim :
Aap sarkar farmate he ke ek musafir rehne ke liye ghar talash kar raha tha, ek dost use ek gire huwe ghar ke pas le gaya, dost ne kaha ke "AGAR " is ghar ki chhat hoti " AGAR " is me kamra bana huwa hota to ye ghar abad hota to tera aur hamara ghar khub abad hote, ham ko padosi ki wajah se aram milta, musafir bola bhai " KASH " ke ye ghar abad hota lekin ab to is me sakunat nahi ki jaa sakti " AGAR " " MAGAR " ke khayali makan me rihaaish nahi ho sakti.
Sab ye chahte he ke akhirat ki kamyabi hasil ho lekin shaytan un ko Allah ki raah se AGAR MAGAR ke chakkar me rok deta he aur baad me wo hasrat me jalte he, har inshan nek amal chahta he lekin shaytan ki jaalsaazi wo pehchan nahi sakta, wo us ke bure aamal wa khayalat aur nafs ki shararato ko muzayyan kar ke dikha deta he, agar koi aisa sahabe batin ho ke khud is fareb ko samaj sake aur neki wa badi me imtiyaz kar ke amal kare to thik warna apne aap ko kisi shaikhe kamil ke supurd karde taake shaytani aur rehmani khayalat wa amaal me farq kar sake, bure aur bhale me tamiz sirf Noore farasat se hi ho sakti he agar ye kasoti tumhare paas nahi he to tanha aage na barh kyunki nafs chhalawe ki surat bana ke raste ke safar se tumhe dur karne ki har mumkin tadbeer karta he, ye chhalawe ki awaz inshan ke andaruni jazbat he jo maal wa jaah aur joothi izzat se mutallik hote he, asl ko fani cheez se juda kar lene ki ista'dad paida kar taake nafs ke dhoke se bacha rahe.
is liye ye kaha jaa sakta he ke jis ne apne aap ko kaamil murshid ke supurd nahi kiya wo apne khayalo ke "AGAR" aur "MAGAR" ki shadi kara dete hai aur usme se "KAASH" ke naam ka bachcha paida hota hai aur usi daaire me zindagi basar kar dete hain aur haqeeqat se na aashna hi wapas laut jaate hain.
Comments
Post a Comment