15.Hazrat Bu Ali Qalandar Aur Ek Mufti Ka Waqiya
*Ek waqt aap par shadeed jazb aur sakar ka ghalba taaree hogaya jiski bina par shariat ke bahut se amaal ki pabandi me kami agayi. Hatta ke namaz tak tark hogayi. Logon ne us daur ke bahut bade mufti se is muaamle me baat cheet ki Ke Hazrat Bu Ali Qalandar buzurg sifaat insan hain. Isliye inka namaz ko tark dena achcha nahi. lihaza aap unhe namaz ki targheen dein taki buzurgi aur wilayat par aanch na uthe.
*Is haqeeqat ko madde nazar rakhte hue mufti ziyauddeen sanami Bu Ali Qalandar ki khidmat me pahunche aur unse sawal kiya ki Bu Ali aapne ye kya haal bana rakha hai. Aapne (Bu Ali) wahi fuqra dohraya hai, "ye ghaib zaat Allah ki, Allah bas baaqi hoos"
*Mufti ne farmaya ki jo kuch bhi ho namaz ki adaigi har haal me lazim hai. Hazrat Bu Ali ne jawab diya ki mufti sahab aap apna kaam kijiye, mujhe namaz maaf ho chuki hai. Ab mufti ko bada ghussa aya aur wo bola tum ajeeb admi ho, namaz Rasool E Maqbool Sallallahu Alaihiwasallam ko maaf nahi thi to tumhe kaise maaf hogayi. Hazrat Bu Ali ne jawab diya, mufti tu mujhe mere haal pe chorde, mai alast hu aur dikhawe ki namaz ada karne ka mujhe bilkul shauq nahi.
*Magar mufti musar raha ke tumhe namaz har haal ne padhni hogi. Ye baatein sunkar Bu Ali ko bhi josh aur hosh agaya aur farmaya, mufti rassi se meri kamar baandho. Agar meri kamar bandi rahi to mai tere kalmo'n ki taameel karunga. Aur agar meri kamar aazad hogai to mera peecha chordena kyuki mai azaad admi hu aur mujhe apni pabandiyo me mat ghaseeto.
*Ab mufti ne aapki kamar rassi se mazbuti se baandhi. Magar ye dekh kar hairaan reh gaya ke rassi kamar se dur ja giri. Mufti bahut sharminda hue aur is par Bu Ali khaas lehje me bole, "baba mai aashique hu aur ishq me mubtila hu to tu mujhe kis namaz ko padhne ki baat kar raha hai"
(Note : Bahut ghaur karnewali baat hai ye ki ishq kya hai)
(Note : Bahut ghaur karnewali baat hai ye ki ishq kya hai)
*Agar tu bazad hai to mai tere saath namaz ada karne liye taiyyar hun. Mufti sahab imam bane aur Bu Ali muqtadi.
Jab namaz shuru hui to Bu Ali par istaghraq ka aalam shuru hogaya. Mufti sahab namaz padha bhi chuke magar Bu Ali ju'n ke tu'n khade rahe.
Mufti sahab puche, Bu Ali Qalanadar namaz to ho chuki hai jabke tu abhi tak niyyat baandhe khada hua hai. Logon ne bhi yehi baat puchi to aapne farmaya ke mufti ki ghodi ne bachcha diya hai aur jahan mufti ke ghar ghodi aur bachcha hain Wahan gandum rakhnewali kunwa numa jagah bani hui hai. Lihaza saari namaz me mufti ke dil dimag par is fikr ka derah jama raha ke kahin ghodi ka bachcha gandum wale kunwe me na gir jaaye. Mai aisi namaz ka qaail nahi hu. Mai apne hawaas se begaanah hu aur ek ghulam ki tarah ishq me gharq hu. Aur khamosh rehta hu kyuki ghulam bola nahi karte.

*Aapki baatein sunkar mufti sahab bade sharminda hue aur wahan se chale gaye.
Mufti is sharmindagi ke inteqaam ke taur par maqaami logon ke saath milkar Hazrat Bu Ali ke tark e namaz par mahzar naama taiyyar kiya taake Hazrat Bu Ali ko namaz chorne ke ilzam me saza mil sake.
Mufti is sharmindagi ke inteqaam ke taur par maqaami logon ke saath milkar Hazrat Bu Ali ke tark e namaz par mahzar naama taiyyar kiya taake Hazrat Bu Ali ko namaz chorne ke ilzam me saza mil sake.
*Mahzar naama me ye baat tehreer ki gayi ke Bu Ali Qalandar ek alim fazil shaqs hain aur dehli me 40 saal tak waaz wa naseehat aur dars wa tadrees aur ilmi mashaghul me masroof raha hai. Magar apne watan panipat me aakar uloom e zahiri se dur hokar alimon aur fazilon se mutanaffar hogaya hai.
*Mahzar naame par mufti ke alawa kayi dusre muftiyon ne bhi dastakhat kiye.
Jab ye mahzar naama Khwaja Ali Ansari me pas aakhri tasdeeq ke liye pahunchaya to unhone mahzar naama phaad diya. Ye dekhkar mufti gusse me akar Khwaja Ali Ansari par daawa daair kardiya. Jab adalat me Khwaja Ali Ansari pesh hue to mahzar naama phaadne ke mutaliq istefsaar kiya gaya. Aapne Quran E Majeed ki ek ayat padhi jiska tarjuma ye tha,
"Mat jao namaz ke qareeb nashe ki haalat me". Aur farmaya jab Bu Ali Qalandar apne hawaas me nahi to wo sharai pabandiyo ke kyukar mustamal ho sakte hain. Is par mufti ki tashfi hogayi aur muaamla khatam hogaya.

Qasaisul Auliya
*Khulasa : is waqiye par Ghaus E Pak ka ek qaul yaad agaya.
"Allah walon se kabhi muqaabla mat karo. Tumhara ilm unke ilm ke katre ke barabar bhi nahi"
"Allah walon se kabhi muqaabla mat karo. Tumhara ilm unke ilm ke katre ke barabar bhi nahi"
Is waqiyat se pata chalta hai ki chahe koi kitna bhi badha mufti ho lekin batin ilm ke muaamle me jahil hota hai, kyuki wo sirf zahir ilm rakhta hai aur batin se mehroom.
Isiliye kisi par bhi ghalat ilzam lagane se pehle har cheez ka ilm hona zaruri hai.
Aur is waqiyat me ye bhi pata chala ke zahir mufti nafs parast tha isliye apni shikast ke ghusse me Wali se badla lene ki sochi jisse dobara uski shikast hui.
Aur is waqiyat me ye bhi pata chala ke zahir mufti nafs parast tha isliye apni shikast ke ghusse me Wali se badla lene ki sochi jisse dobara uski shikast hui.
Comments
Post a Comment