Bigde nahi hain mere chalan main nashe mein hun*
Mujh ko meri lagi hai lagan main nashe mein hun*
Aawaz de raha hai zamana to kya huwa*
Karna hai mujh ko mera jatan main nashe mein hun*
Hoo hoo ka raqs karta hun sanson ke saaz par*
Apne hi raqs mein hun magan main nashe mein hun*
Mere nashe se phool khilenge bahaar mein*
Mujh ko na chhero aihle chaman main nashe mein hun*
Nas nas mein mere kalma tayyab ka zikr hai*
Kaihti hai meri booe badan main nashe mein hun*
Pine ke baad aae ga na ilzam mai kashi*
Ye bhi mera pine ka fan main nashe mein hun*

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez