32.Hazrat Bu Ali Khalandar ka Tasarruf
Hazrat shaykh Jalaluddin R.A, Hazrat Bu Ali Shah Khalandar ki mulaqat ku gaye to unhon ne raaste me ek khaufnak sher ko dekha, tu farmaya, aye sher ye aashiqane Ilahi ka maqam hai yahan tera kya kaam? Sher ye sunkar H.Bu Ali Khalandar ke hujrey ki taraf rawana hua.
Shaykh Jalaluddin bhi sher ke peeche peeche Hazrat ke hujre ki janib badhey-aage jakar kya dekhte hain ke char aur sher bhi H.Bu Ali Khalandar ke hujre ki taraf jarahe hain.
Ye heebat naak manzar dekh kar Hazrat ku kisi qadar dahshat malum hui magar chand khadam ke aage bade they ke H.Bu Ali Shah Khalandar khud tashreef le aaye aur farmaya tum hamarey raazdaron me se ho, aao tumhe sheron ka tamasha dikhayen, chunanche Dono Hazraat ne dekha ke saarey sher aapas me khel kood rahe they laikin jab sheron ne in donon Hazraat ko dekha to inke khadmon me paltu billyon ki tarah lautne lagey
Subhan Allah Aulia Allah ke tasarrufat ke kya kahne
Kitaab: Qasasul Auliya, Safha 270

Comments
Post a Comment