33.Syeduna Owais Qarni Razi Allahu Ta'ala Anhu Ka Haal Shaikh Attar Ki Zabani

*Hazrat Owais Qarni Razi Allahu Ta'ala Anhu ko Rasool E Akram Sallallahu Alaihiwasallam ne apna jubba mubarak kyu inayat farmaya tha aur Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu apni khilafat ko Hazrat Owais Qarni Razi Allahu Ta'ala Anhu ke saamne ek dinar ke badle me kyu farokht karte the. Is qisse ko shaikh Fareeduddeen Attar Alaihir Rehma ne yu bayan farmaya hai,
*Jab Hazrat Umar Razi Allahu Ta'ala Anhu Hazrat Owais Qarni Razi Allahu Ta'ala Anhu ke saamne josh me aayeto farmaya ke mai baar khilafat ko apni shano'n se utaar deta hu.
Is khilafat ka agar koi khareed daar ho to mai ise ek dinaar me bhi farokht karne ko taiyyar hu (yaani meri khilafat ko ek dinaar me bechne ke liye taiyyar hu).
*Jab Hazrat Owais Qarni ne Hazrat Umar Farooq se ye baat suni to farmaya,
"Tum zahirdari (zahirpan, dikhawa) ko chordo aur farigh hojao. Tu ghair cheezon ko chorde aur jo zaruri zaadraah chahiye lekar rawanah ho taake aage pahunch jaaye "
*Hazrat Ameerul Momineen (Hazrat Umar) ne jab khilafat ko chordena chaha to us waqt unke dost ahbab ne shor farmaya.
Sabne milkar unse arz kiya,
Aye hamare peshwa! Khuda ke liye aisa hargiz na kijiye. Is tarah to khalq Khuda gumrah aur pareshan hojayegi
Ye ahdah jalelah to Hazrat Abu Bakr Siddique ne aapke supurd kiya hai. Unhone ye kaam jaan bujkar nahi kiya balke haq aur munasib samajhte hue kiya hai.
Agar aap unke farman mubarak se sar pherte hain to is tarah aap unki rooh mubarak ko dukh pahunchate hain.
*Phir jab ye mazboot daleel Hazrat Umar ne suni to phir is daleel ki wajah se in par ye kaam sakht dushwaar hogaya aur yu wo apne iraade se baaz agaye.
đź“šKitab : Taaleem E Ghausia


Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez