6.Sachche Ulama Kaun?

Aaj aawam me ye mashoor hogaya hai ki jo koi bhi shariat ka tamam ilm hasil karle wo ulama kehlata hai aur wo log apne apko ulama kehlate bhi hain jo ki haqeeqat me ghalat aur gumrahi hai.
*Ulama ki pehchan aur Ghaus E Pak Razi Allahu Ta'ala Anhu ka farman
Ghaus Ul Azam Razi Allahu Ta'ala Anhu farmate hain ki ilm hi Allah Ta'ala ki maarifat ka ba'as hai aur ambiya wa mursaleen alaihimussalawatul tasleemaat ki tasdeeq ka waseela hai.
Isliye ulama kiraam Allah Ta'ala ke khaas bandon me se hain jinhein Allah Ta'ala ne apni tauheed ki raahein kholne ke liye muntakhab farmaya aur apne khaas fazl wa karam se inki rehnumayi farmayi aur ulama kiraam ko dusre logon par khusoos fazeelat marhamat (inayat) farma kar maqboole (qubool) baargah banaya.
Allah Ta'ala farmata hai,
Allah ke bando'n me se isse wahi darte hain jo (in haqaiq ka baseerat ke saath) ilm rakhne wale hain, yaqeenan Allah ghalib hai bada bakhashne wala hai.
Surah Fatir, Ayat 28
Ulama kiraam ko hi ambiya wa mursaleen ka waaris wa naayab aur khadim wa mahram raaz banaya neez wahi inki haqeeqi maarifat se sarfaraz hain.
Chunanche Nabi E Kareem Sallallahu Alaihiwasallam farmate hain,
Ulama kiraam daulat ambiya kiraam ke waaris hain. Aasmani (makhlooq) farishtey aur samandar ki machliyan inke liye maghfirat wa bakhshish ki dua karte rahi hain.
*Rasool Allah Sallallahu Alaihiwasallam farmate hain,
Roze qayamat jab Allah Ta'ala apni makhlooq ko uthayega to (maidane hashar me) ulama kiraam ki imtyazi shaan hogi.
Phir Allah Ta'ala farmayega, Aye girohe ulama,maine tumhein apne ilm se isliye bahramand (khush Qismat) farmaya tha ke tum hi iske ahl the.
*Kitab : Sirrul Asrar, Safa 55
*Khulasa :
1. Ulama - Alim ki jama, alim fazil log
(Ilm ki jama yaani har tarah ka ilm, zahir aur batin)
2. Ambiya maarifat ka ilm rakhnewale hain aur jab ulama inke waris bane to wo ilm bhi inhe ata hua.
Yaani ulama ke pas sirf zahiri nahi, iske saath batin (maarifat) ka ilm bhi hona chahiye.
3. Ulama logon par fazeelat rakhte hain. Fazeelat yaani rehem, meherbani, bakhshish, buzurgi.
To ye fazeelat to sirf buzurgaane deen me hoti hai.
Aur Ulama ko Allah Ta'ala ki bargah me maqbool banaya
Maqbool to buzurgaane deen hain.
4. Allah Ta'ala ne Ulama ko Ambiya ka raaz banaya aur Ulama hi Ambiya ki haqeeqat jaannewale hote hain.
Tabhi to hadees me aya hai ki Awliya (Ulma) Ambiya ke tareekhe par honge
Misaal : jaisa Ambiya se mojza zahir hua usi tarah awliya se karamat zahir hui.
5. Hadees : Innal Ulama'a warasatul ambiya'a, innal ambiya'a lam yuwarrasu dinara wala dirhama
Tarjuma : Ulama ambiya ke waris hain aur ambiya dinar ya dirham chodke nahi gaye, balke ilm chodke gaye
Sunan Ibne Majah, Kitabus Sunnah, Hadees 223
Ghaur karein, pehle bataya gaya ki ambiya maarifat ka ilm bhi rakhnewale hain.jab ambiya ilm chodke gaye to is ilm me maarifat ka ilm bhi agaya. Wazeh hai ki ulama wo hai jisne maarifat ka ilm hasil kiya.
6. Ulama ki badi shaan hogi roze mahshar me.
Jaisa ki hadees me aya hai ki Allah Ta'ala ke kuch aise nek bande hain jo na to shaheed hain aur na ambiya phir ambiya aur shuhada unke maqaam ko dekhkar rashk karenge, unke chehre noor se roshan honge, ye noor ke taqat par baithr honge, ye ek dusre se mohobbat karnewale hain Allah Ta'ala ki raza ke liye, inhe koi khauf nahi hoga jab log khaufzada honge aur koi gham nahi hoga jab log ghamzada honge aur Nabi Sallallahu Alaihiwasallam ne ye ayat tilawat ki,
Ala inna awliya allahi la khaufun alaihim walahum yahzanoon
Khabardar ! Beshak Awliya Allah par na koi khauf hai aur na wo ranjeedah wa ghamgheen honge.
Saaf saaf wazeh hai ki buzurgaane deen ko Ulama kaha gaya hai (na ki zahiri alim ko) jo Ambiya ke wirasat ke malik hai, jo Ambiya ko ata gaya wo inhe bhi ata kiya gaya.

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez