17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez
Hazrat Shams Tabrez (Radhi ALLAH Anhu) Ki Karamat Dekh Kar
Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi (Alaihe Rehma) Ne Unse Bayat Lene Ki Tammana Zaahir Ki,
Iss Par Hazrat Shams Tabrez (Radhi Allah Anhu) Ne Farmaya,
Ki Bayat To Kar Lunga Par Meri Do(2) Shartein Hain......

1:- Tumhein Namaz Padhna Chorna Padega....
aur
2:- Main Sharab Peeta Hun Toh Roz Ek Sharab Ki Bottel Lakar Dena Padega....

Yeh Shar't Sunkar To Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Bohat PareYshan Hogaye, BoleY Ki Main ApneY Waalida SaY Pooch Kar BataVunga.....
Unki Waalida Bohat Neak Seerat aur Parhezgaar Aurat Thi Un'honaY Kaha Ki Beta Yeh Bohat Ahsaan Shar't Rakhi Hai Mureed HonaY Ki, Fauran Ho Jao.....
Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Ne Bayit Lay Li aur PehleY Din Sharab LeneY Ke Liye JaaneY LageY JaiseY Hi Aap Sharaab KhaneY Ki Taraf JaaneY LageY Utne Main Azaan Hogayi, Aap Ke Dil Main AaYa Zindagi Bhar Namaz Nahi Chori aur AaJ KaiseY
Chor Doon... AapneY Socha Ki Sunnat Nahi Kam Se Kam
Farz Hi Padh Lun......

Namaz SaY Faarigh HonaY Ke Baad Aap Ne Apna Muh ChupaYa aur Sharab KhaneY Par Jaakar Sharaab Ki Bottle Li aur Chuptey Chupatey Wapas AaneY Lagey...
Wahin Raastey Main Kisi MasleY Par Logon Main Behas Chid Gayi,
Sab Log Faisla KaraneY Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi (Rehmatullah Alaih) Ke Pass JaaneY Lagey.

Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Bhi Chuptey Huye Wahan Se
NikalneY Lagey Ki Unko Ek Shakhs Ka Dhaka Laga aur Sharab Ki Bottel Haath Se Chutt Gayi aur Neechey Girkar Toot GaYi...
Logo'n Ne JaiseY Hi Dekha Ki Sharab Ki Bottel Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Ke Haath Say Giri To Bohat Hairaan Huye aur BolneY Lagey Ki Hazrat Ko Hum Log Kya SamaJhteY ThaY aur Yeh To Sharaabi Hai.

Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi SochneY Lagey Ki Kahan Phas Gaya Puri Izzat Bhi Gayi aur Haath Bhi Kuch Nahi Aaya.
ItneY Main Hazrat Shams Tabrez Wahan Pohunchay aur Kaha Ki Kya MaaJra Hai Bhai...?

Logon Ne Bataya Ki Ye Sharaab Peetey Hain. Aapney Kaha Array Sungh Kar Dekho Wo Ittar Hai Gulab Ka, MaineY Hi Mangwaya Tha.
Hazrat Shams Tabrez Ne Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Ko Liya aur ApneY Saath Lekar Tanhaayi Main Pohunchay,
Wahan AapneY Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Ko Kaha Ki Aankhen Band Karo aur Apni Kamli Unpar Daal Di.
Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi Dekhtay Kya Hain Ki Wo
Bargaah-e-Rasool (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآله وسلم)
Main Haazir Hain aur Tamaam Sahaba e Kiram aur Buzurgaan e Deen MauJood Hain...

Hazrat Shams Tabrez (Radhi Allahu Ta'ala Anhu) Bhi RasoolAllah (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآله وسلم) Ke Pass KhadeY Hain aur Farmatey Hain Yaa RasoolAllah (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآله وسلم) In'honaY Sunnat Namaz Chor Di Sirf Farz Padhi, Kya Kiya Jaaye....?
RasoolAllah (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآله وسلم) Muskuraye aur Farmaya Ki Maaf Kar Diya Jaaye.
Bus Itna Kehna Tha Ki Hazrat Shams Tabrez (Radhi Allahu Anhu) Ne Apni Kamli Hatayi aur Hazrat Maulana Jalal-ud-din Rumi (Alaihe Rehma) Ne Wapas ApneY Aap Ko Hazrat Shams Tabrez (Radhi ALLAH Anhu) Ke SaamneY Paaya....
Aap Par Ek AJab Si Kaifiyat Chaayi HuYi Thi, Shams Tabrez Ne kaha Kya Miyan Isliye Manna Kiya Tha Ki Namaz Mat Padhna Agar Farz Nahi Padhtey Toh Seedah ALLAH Ki Baargah Main Khadey Hotey...

💖SubhanAllah 💖
ReplyDelete