40. Sufi Ki Sohbat
Imam Ahmed bin Hambal r.a aksar Hazrat Bishra Haafi r.a ke paas jaaya karte they ek dafa shagirdon ne Imam saheb se pucha ke aap to khud badey aalim hain aur hadees o fiqh o ijtihaad me apni misaal nahi rakhtey phir aap ek shorida haal(Majzoob) ke paas kyun jaatey hain? Imam saheb ne farmaya beshak main in tamam uloom me Bishra Haafi r.a se bada hua hun magar Allah Taala ku wo mujh se bahtar jaante hain..
Yani unko ilm e maarifat ilahi mujh se zyada hai
Yani unko ilm e maarifat ilahi mujh se zyada hai
Comments
Post a Comment