21.MURSHID SE TALLUKH MAZBOOT BANAWO
Ek Chunti Ki Kahani
Ek Chunti ke Dil me Baithullah ki Zyarat ka Shoukh paida hua-, lekin saath he apne Kamzor hone ka ahsaas, Raste ki takalif, Hawawo ka Chalna, Zameen ki Jumbish, Samandari tufaan, Moujo ke Thapede aor najane kya kya taklif iske nazron ke samne aaye-, jin se wo gamgeen hogai-,
Achanak ek roz Haram Shareef ke Ek Kabootar par iski nazar padhi-, Ye dekh kar isske Gamgin aor Murda dil ko tasalli hui-, Khuda ka shukr adaa kia aor daoudh kar iske paawon ko chimat gai aor maksad zahir kia-, Kabootar ne Hidayat ki dekhna Aye Chunti Mere Pawon ko mazbuti se se pakde rakhna kyon ke raasta behat khatar naak hai-, Agar Mujhe Chordia (Pawon Chordiye) toh pash pash hojawogi-, Chunache Chunti ne apne Rehbar Kabootar ke pawon mazbuti se pakad liye isski hidayat par amal karti rahi aor Manzil e Maksood par Pahonch gai-.
Salik ko bhi chahiye ke jiss ke saath nisabat hojaye aor jisey wo apna Rehbar (Murshid) tasleem karley phir iss par kisi bhi khisam ka aiteraaz aor koi shak ke bagair iski pairwi karta chala jaye aor isteqamat iqtiyar karey-, Inshallah wo bhi ek din zaroor Manzil e Maksood par Pahonchega -.
(Masnavi Manvi Moulana Room Rahmatullahi Alihi)
(Masnavi Manvi Moulana Room Rahmatullahi Alihi)
😍
ReplyDelete