23. Aqwaal

*KHAMOSHI:-*
*Aisa darakht ( पेड़ ) hai jis per kadwa phal nahi lagta.
*HASAD:- ( जलन )*
*Aisa deemak hai jo insan ko ander aur bahar se khatam kar deta hai.*
*SACHCHAI:-*
*Aisi dawa hai jis ki lazzat kadwi magar tasir shahed se ziyada mithi hai.*
*ZEHANAT:- ( Talent )*
*Aisa nadir paodha (plant) hai jo mehnat ke baghair nahi lagta.*
*KHUSH AKHLAQI:-*
*Aisi khushbu hai jo milon door se bhi mahesus ho jati hai.*
*GUNAH:-*
*Aisi laanat hai jo qalb (Heart ) ko siyah (Black ) kar deti hai.*
*ZAMIR:-*
*Aisa sathi hai jo hamesha haq ki raah dekhata hai.*
*DUA:-*
*Aisa amal hai jo taqdeer ko shikast de sakta hai.*
*TAUBA:-*
*Aisa darwaza hai jo mout ki hichki tak khula raheta hai.*

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez