38.Hazrat Sha Shujah Karmani (Razi Allahu Ta'ala Anhu)
Aap shahi Khandan se taluq rakhne ke bawajood bohot hi azeem muratibat buzurg hue hai-, Aap Mukammal 40 Saal tak nahi soye aor jub ankhe neend se bhari hone lagti toh namak bhar lete they-, Lekin 40 saal ke baad Aap ek martaba soye toh ALLAH Ta’ala ki tajalli ko khwab me dekh ker arz kia ke Aye ALLAH tujhe be-daari me talash kia lekin Khwab me paya-, Nida aayi ke ye issi be-daari ka Muawza hai-, iske baad Aap ne soney ka isilye mamul banalia ke Shayad Phir Jalwaye Khudawandi Nazar aajaye-, Aor apne iss Khwab par Aap iss khadar Naaza they ke ye farmaya karte they, “Ager iss khwab ke badle me mujhe dono Aalam bhi ataa kiye jaye jub bhi khubool nahi karunga”-.
Hazrat Abu Hafees ne aapko tahreer kia ke jub maine apne amaal wa Nafs aor Maasiaton pe nigah daali toh mayusi ke ilawa kuch nahi mila-, Aap ne Jawab me ye tahreer kia ke maine Aap ki iss baat ko apne qalb ke liye aaina bana liya hai-, kyon ke agar Nafs se Mayusi hogi toh Khudah Ta’ala se A’as hogi -, aor jub Khudah se A’as hogi toh Khouf Paida hoga toh Nafs ke janib se Mayusi hogi-, Aor Jub Nafs se Mayusi hojaye gi toh Khudah ki yaad bhi hosake gi-, Aor Jub Khudah ki Yaad Mukammal hogi toh Asaghfaar paida hoga aor mustaqani hone ke baad hi Khudah ka Wasl hosakta hai-.
(Tazkiratul Aoulia Allah Safa : 177)
Comments
Post a Comment