Bata bande me wo nukta kahan hai, 
Ke jis Nukte me khud banda niha hai,

Na samjha aaj tak kalme ki kal ko,
Yahi wo kal hai jisse kul ayaa hai,
Agar hai fasla kuch abd o rab me,
To fir dono me kya shay darmiya hai,
Bina dekhe padhe lahaul kis per,
Wo akhir koun hai kya hai kahan hai,
Mai samjha wo hai wo samjhe ke mai hu,
Wo inka wahem tha ye mera gumaa hai,
Likha hai Ghaib per imaan Lao,
Bata Ghaib kya shay hai kaha hai,
Duyi ki tod do deewaar "rizwan "
Yahi kambakht hai jo darmiyaa hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez