8.KAAMILEEN KA TAREEKHA

Ek din Maulana Shamsuddin Tabrez farmane lage kisi ne shaikh hareri se kaha, tumhare mureed khilaf shara'a yaani namaz nahi padhte aur aap unko kuch nahi kehte.

Wo kehne lage, Khuda aur Rasool ke ahkamaat ke mutabia'at nahi karte to bhala meri baat kya maanenge.

Phir hans kar kaha, agar wo Khuda ki namaz padhein roze rakhein aur ahkaam Ilahi par amal karein, to ye baatein khud unke najaat ke liye kaafi hain, phir meri unko kya zarurat hai.
Unhone sirf isliye mera daaman pakda hai ke jo inki khwahishaat nafsaani hai unko pura karne ke liye mai unki madad karun aur najaat diladu'n.
Shaikh Hareri ne saaftaur par kaha, magar wo aisa kar nahi sakte. Unka ye maqaam nahi hai. Iske bar aks Maulana Rumi agarche zaban se zahir kuch nahi kehte lekin sama'a me unki jo laanayaa'n ye daawa sabit karti hai ke hum un Awliya me se hain ke hamare pairokaar kuch hi kyu na karein hum unko najaat dilayenge.
Phir farmaya aksar log baghair daff ke naach rahe hain, agar daff ki awaaz sunlein to Khuda jaane kya karein. Insan me zahiri a'amaal se alahida batini a'amaal hain. Allah Ta'ala farmata hai bandah ke husn zann qareeb hun. Niyyat khair ki wajah se a'amaal badhasanat hojate hain. Logon ki nazar a'amaal zahiri par hoti hai. Niyyat batini ko nahi dekhte. Koi fael zahiri me gobaraa ho lekin nek niyyat ki wajah se batin me wo achcha hota hai.
Hum tamam duniyao'n ki haqeeqat dekh chuke hain. Hum zahiri nazar se dil dekh liya karte hain.
Kitab - Manaqibe Rumi

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez