39.MURAQIBA

Hazrat Junaid Baghdadi (Radi ALLAHU Anhu) farmatay hai ki mainay muraqaba ka hunar billi say sikha...Aap farmatay hai ki ek roz wo rastay say guzar rahay thay, aur apnay dekha ki ek billi ek chuhay kay bill ki taraf is tarah dhayan lagaye yaksui kay sath baithi thi ki uski jism na zara si harkat thy aur na uski jism kay ek bhi roya hil raha tha, main us billi ki is tawajho aur harkat ko dekh kar itna kho gaya ki mainay apnay aap main us billi ki sifat paye, mere andar say awaz aye, mehboob kay mukhday ko isi tarah nazro kay samnay jama kar tasawur kar jaisay wo billi apni nazray bill ki taraf jamaye baithi hai, khud billi banja aur yaksui ikhtiyar kar aur puri tawajho shaikh kay chere par jama dey, uskay siwa koi khayal na rahay.
Isliye Hazrat Junaid Baghdadi (radiALLAHanhu) farmatey hai ki mainay ye muraqabay ka fan billi say sikha, hum sab ko bhi apnay shiakh ka tasawwur is tarah karna chahiye.

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez