35.Hazrat Khawja Hasan Basri r.a ji fazilat
*Ek din Huzur Alahissalaam
hazrat Umm e Salma r.anha ke makan par tashreef laye to unhone Hasan basri r.a
ko aap s.a.w.s.ki aaghosh mubarak me daldiya is waqt Huzur s.a.w.s ne aap ke
liye bhalayi ki dua farmayi aur us dua ki barkat se aapko bepanah maratib hasil
hue..
*Bachpan
me aapne ek din Huzur Alahissalaam ke pyale ka pani pi liya aur jab Huzur
s.a.w.s ne daryaft kiya ke merey pyale ka pani kis ne piya hai to Hazrat Umm e
Salma.r.a ne kaha ke Hasan ne, ye sunkar Huzur s.a.w.s ne farmaya ke usne jis
qadar pani mere pyale se piya hai usi qadar mera ILM usme nafaz
kargaya(transfer hogaya)..SubhanAllah kya khushnaseebi payi hai H.Hasan Basri
r.a ne
Comments
Post a Comment