7.Khuda Ko Kyu Nahi Dekh Sakte

Hazrat Sultan Wald riwayat karte hain ke ek din mere walid se maulana Shamsuddeen kehne lage ke mai Tabrez me Shaikh Abu Bakr ka mureed tha. Aur sab Wilayatein maine unse hasil ki. Lekin mujh me ek aisi cheez thi ke na wo mere Shaikh ne dekhi aur na kisi aur ko nazar aayi. Albatta wo Maulana Room Sahab ne dekh li. Is tarah ek roz apne walid se arz ke mai apne bachpan me Khuda ko dekhta tha, Farishte nazar aate the aur Aala se afzal jitni mugheebaat (chupi cheezein) hain sab nazar aate the. Mujhe gumaan tha shayad saari duniya meri tarah ye haalaat dekhti hogi. Magar maalum hua koi nahi dekhta. Aur mere Peer Shaikh Abu Bakr un haalaat ke izhaar se mujhe mana farmate the. Mere walid ne farmaya ke Shamsuddeen, tumhein martabah kamaalaat azal (shuru) se mila hai. Ye twa'at (ibadat, bandagi, puja) aur riyazat (mehnat) ka nateeja nahin hai. Bilkul usi tarah jaise Hazrat Isa Alaihissalam ko gahwaarah me mojzah inayat hua. Aur mere walid ne hame ye hidayat farmayi thi ke Shaikh Salahuddeen ke saamne Maulana Shamsuddeen ka zikr na karo. Aur Hasamuddeen ke saamne Shaikh Salahuddeen ke haalaat na bayan kiya karo. Goya unme baaham koi farq nahi hai. Lekin nahi karna chahiye isliye ke Aan Hazrat Sallallahu Alaihiwasallam ke saamne sahaba kiraam kisi nabi Alaihissalam aur paighambar Alaihissalam ka zikr nahi karte the. Albatta khud Huzur Sallallahu Alaihiwasallam ambiya ka zikr farmate the aur unke haalaat bayan karte the.

Subhan Allah
Log kehte hain ki Khuda ko dekh nahi sakte. Agar dekhne wali nazar aur Peer ka karam ho to nazar se kuch bhi na chupe
Kitab - Manaqibe Rumi

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez