42. Shamsuddeen Tabrezi Ka Qatl
Ek roz shab ke waqt Maulana Room Qadas Sirrahu ke pas Maulana
Shamsuddeen tanha baithe the. Kisi shaqs ne Maulana Shamsuddeen ko bahar se
ishara kiya ki bahar aayein. Shamsuddeen fauran uth khade hue aur Maulana Room
se kaha ke mujhe bahar qatl karne ke liye bulate hain. Maulana ne bahut tawaquf
ke baad farmaya Allah Ta'ala ka hukm ghalib hai, behtar yehi hai aap chale
jaayein. Kehte hain 7 haasidon ne Maulana Shamsuddeen ke qatl par intefaq kiya tha. Aur us waqt bahar
ghaat me baithe the. Jaise hi Maulana bahar nikle unhone choori se war kiya.
Maulana ne aisa naara maara ke wo saaton behosh hokar gir gaye.
Jab unko hosh aya to thoda sa khoon to zameen par pada
tha magar laash nahi thi. Us din se phir Maulana Shamsuddeen ka koi suraagh na
mil saka.
Kitab : Manaqib E Rumi, Safha 204
Comments
Post a Comment