1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

HADEES E QUDSI
KUNTO KANZAN MAKHFIYAN FAARADTU AN URAFA FA KHALAQTUL KHALQ ZAAT SAR CHASHMAHU CHASHMAN
TARJUMA :- Allah farmata hai k...
Mai ek chupa huwa khazana tha mai ne chaha k pehchana jaun, is liye main ne makhlooq ko takhliq (banana, paida karna, create) kiya aur meri pehchan aur zahoor mukammal huwa meri zaat ke sar chashme (insan e kamil) mein-
MIRATUL AARFEEN PAGE NO 60
Note :
*jab pucha jaata hai to kuch log kehte hain ki Allah ne hame uski ibadat ke liye paida kiya Jo ki kam ilmi ki vajah se kehte hain.
*Allah hamari ibadat ka mohtaj nahi hai. log jannat ki khwahish aur jahannam ke darr se ibadat karte hain Jo Allah nahi chahta. Allah to usko pehchankar uski mohobbat me uski ibadat chahta hai.
*Hadees : Rasool Allah sallallahu alaihiwasallam ne farmaya ki ehsan ye hai ki tum namaz aise padho jaise apne rab ka deedar kar rahe ho. Ya phir aise padho ki tumhara rab tumhe dekh raha hai.
Allah ka deedar karne ya phir aisa tasawwur karne k liye ke Allah hame dekh raha hai, iske liye Allah ki pehchan hona zaruri hai. Bina pehchan ke deedar ya tasawwur kaise?
*Isiliye Allah ta'ala farmata hai ki Maine insan ko is maqsad se paida kiya ki vo mujhe pehchane.
*****5🍂*Pehchan tab hogi jab hum usse ilm hasil kare jisne Allah ko pehchana hai, Jo Allah ke kareeb hai, Jo Allah se kalaam Karta hai - Wali Allah.
*Inhi wali Allah ka waseela talaash karneko Allah ne Quran me hukm diya hai.
Al Quran : "Ya ayyuhallazeena aamanuttaqullaha wabtagu ilaihil waseelata wajahidu fi sabeelihi la allakum tuflihoon"
Surah Maidah Ayat 35
Tarjuma : aye imanwalo Allah se darte raho aur us tak waseela talaash karo uski raah me jihad karo taaki tum falah pajao.
*Point 1 : waseela kya hai?
Jawab : Jis cheez se Allah ka qurb (nazdeeki) hasil ho.
Point 2 : is ayat me waseele ko kuch log namaz kehte hain aur kehte hain ki namaz ka waseela lo.
Jawab : namaz waseela ho ho hi nahi Sakta kyuke nazam roza hajj zakat nek amal sab taqwa hai Jo ki Allah ne ayat ke pehle me Hi farmadiya (taqullaha - darte raho, taqwa rakho).
Aur maanliya jaaye ki namaz waseela hai to phir sarkar e do alam ne namaz me Allah ke deedar karne ka hukm diya hai to jab hum Allah ko pehchane hi nahi to deedar kaise karenge?
Aur gaur karein ki waseela talaash karneko kaha gaya hai aur namaz koi talaash karnewali cheez to nahi hai. Taaasha usko jaata hai Jo kho gaya ho, jo mil nahi raha ho..
*Point 3?
To phir kiska waseela, kisko zariya bananeko Allah hukm deraha hai?
Jawab : Allah ki pehchan tab hogi jab hum unko zariya banaye jinhone Allah ko pehchana hai, Allah se kalam kiya hai,jinko Allah ne apna dost kaha hai - Ambiya, Wali Allah.
Sufiya kiraam ke nazdik kamil murshid (Shaikh, guider, teacher) ki zaat waseela hai.
Agar kamil murshid apne nazdik miljaye to behtar hai warna agar puri duniya Safar karna pade to bhi Safar karke kamil murshid ki talaash karna farz hai.
Ye koi choice nahi hai balki Allah ka hukm hai aur Allah ka hukm farz hai.
Misaal : agar hame kisi jagah ka pata malum nahi hai aur hame waha jaana hai to hum usse pata puchenge jo wo jagah se achi tarah se waqif ho.
Usi tarah Allah ki pehchan ke liye buzurgaane deen ka waseela lene ka Allah ne hukm diya hai.
Aur talaash lafz par gaur karein to ye sach hai ki awliya Allah aasani se nahi milte, unhe dhundna padhta hai, wo chupa hua khazana hain.
Awliya Allah ki ye shaan nahi ki vo duniya walon ko apne aapko wali bolte phire. Wo to duniya se duri ikhteyar karna pasand karte hain aur faqir ke libaas me hote hain.
*Point 4
Aaj bahut log muftiyo ko apna waseela banaye hue hain jinko na to roohani ilm hota hai aur na hi Allah ki pehchan, ye log sirf kitaben padhke mufti bane hain. Bhala koi kitab padhke Allah ko pehchan sakta hai?
Aur logon ko ye tak malum nahi ki waseela kiska Lena hai kyu Lena hai apni kam ilmi ki vajah se. Aur har koi aaj peer bane baitha hai.
*Allah hame sahi murshid ka waseela lene aur haq ki pehchan karneki hidayat naseeb kare.

Comments

  1. Bull shit nonsence you are talking..
    Jab Allah tala dil par mohar laga de to aise he andha ban jaate hai.
    May Allah give u hidaya.
    Aayat ka apna matlab nikal lete hai.
    Surah azzariyaat 51:56.
    I created not thejinn and mankind except that they should worship me.

    ReplyDelete
    Replies
    1. U r speaking the truth but you should avoid talking in a bad manner . Islam doesn't teach us this way to correct someone's mistake

      Delete
  2. I did not create jinn and humans except to worship Me.
    (Quran 51:56)

    ReplyDelete
  3. Respect and I have a keen proposal: What Is In House Renovation Loan house renovation budget template

    ReplyDelete
  4. Dr.allah rabul izzat na insan ko apni pechan ka lye peda Kiya above guidance is 100 true

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez