22.Hazaro'n Jafaayein Ek Wafaa

Hazrat Sultan Wald farmate hain ke ek din Maulana Shamsuddeen Tabrezi khalut me chand mureedo'n se ma'arif wa haqaaiq bayan kar rahe the. Us waqt ye bhi irshad farmaya ke agar kisi shaks ne Allah ke waaste tamam umr me hamare saath ek bar bhi wafaa ki ho aur phir wo hazaro'n jafaayein (zulm, zyaadti, na insafi) kare lekin hamari nazar uski ek wafaa par rahegi. Hum uski jafao'n se hargiz bezaar na honge. Is liye ke usne khaas Allah ke waaste hum se wafaa ki thi. Jo shaks us wafaa ka haq jaanta hai wo kabhi jafao'n par nazar nahi kar sakta._
Kitab : Manaqibe Rumi



Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez