19.Aajiz Wa Niyaz Se Badhkar Koi Ibadat Nahi
Ek
roz Moulana Shamsuddeen Tabrezi ne farmaya, Khwaja Abul Hasan Kharqaani
Rehmatullah farmate hain maine ek qadam arsh par rakha aur dusra qadam tahtussara
par rakha lekin maqsood ka darwaza band paaya. Jab maine aajzi (gidgidana) aur
niyaz (haajat, aarzu) ikhtiyar kiya us waqt matlab hasil hua. Niyaz se zyada
koi ibadat nahi hai.
Rab ki baargah me aajizi, bandagi aur pashemani
(afsos, sharmindagi) ke siwa koi kaam moatbar nahi hai.
Kitab : Manaqibe Rumi
Subhan Allah
Comments
Post a Comment