14.Tere Nafs Ka Bhi Tujh Par Haq Hai

Maulana Room ke ashaab riwayat karte hain ke halb me Shamsuddeen Tabrezi madrasah ke ek hujre me 14 mahine tak band rahe. Aur aise sakht mujahide (zikr o askaar) kiye ki ek din bhi hujrah se bahar qadam nahi nikala. Ek din hujrah ke darwaze ae aawaaz aayi ke tere nafs ka bhi tujh par haq hai aur ye wo mehnat hai ke patthar bhi iska mutamal nahi ho sakta. Us waqt aap hanste hue hujrah se bahar aaye aur aitekaaf tark kardiya.
Kitab : Manaqibe Rumi
Subhan Allah
Khulasa :
Yaani patthar ko bhi mazbut rehne ke liye hawa pani chaanv ki zarurat hoti hai. To insan ke wajood ko zinda rakhne ke liye bhi rizq ki zarurat hoti hai. Lekin Awliya to Allah ko paane ke liye apne rizq tak ko apne zikr ke beech me aane nahi dete. 14 mahine bagair rizq ke rehna ye khud ek karamat hai. Aur wo rizq bhi utna bhi lete hain jitna wajood ko zinda rakhne ke liye zaruri hota hai. Nahi to jism kamzor padjayega aur maqsad hasil nahi hoga. Aisa nahi ki apni mann pasand acha khana khaate hain. Aisi sakht riyazat ke baad unko Allah Ta'ala milta hai aur Kun Faaya Kun ke maalik bante hain. Jo jitni riyazat karta hai wo utna buland maqaam paata hai.

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez