Posts
Showing posts from February, 2018
42. Shamsuddeen Tabrezi Ka Qatl
- Get link
- X
- Other Apps
Ek roz shab ke waqt Maulana Room Qadas Sirrahu ke pas Maulana Shamsuddeen tanha baithe the. Kisi shaqs ne Maulana Shamsuddeen ko bahar se ishara kiya ki bahar aayein. Shamsuddeen fauran uth khade hue aur Maulana Room se kaha ke mujhe bahar qatl karne ke liye bulate hain. Maulana ne bahut tawaquf ke baad farmaya Allah Ta'ala ka hukm ghalib hai, behtar yehi hai aap chale jaayein. Kehte hain 7 haasidon ne Maulana Shamsuddeen ke qatl par inte faq kiya tha. Aur us waqt bahar ghaat me baithe the. Jaise hi Maulana bahar nikle unhone choori se war kiya. Maulana ne aisa naara maara ke wo saaton behosh hokar gir gaye. Jab unko hosh aya to thoda sa khoon to zameen par pada tha magar laash nahi thi. Us din se phir Maulana Shamsuddeen ka koi suraagh na mil saka. Kitab : Manaqib E Rumi, Safha 204
8. APNA KHAYAL
- Get link
- X
- Other Apps
LOG SAMAJHTE HAIN KE ANAL HAQ (MAI KHUDA HUN) KAHNA BAHUT BADA DAAWA HAI, BADA DAWA TO ANAL ABD (MAI BANDA HUN) KAHNA HAI.... ANAL HAQ BAHUT BADI AAJIZI HAI KYUNKE JO SHAQS YE KAHTA HAI MAIN KHUDA KA BANDA HUN, WO DO HASTIYUN KO SABIT KARTA HAI EK APNE AAPKO AUR DUSREY KHUDA KO LAIKIN JO ANAL HAQ KAHTA HAI WO APNE AAPKO MADUM (FANA YA MITA DETA HAI) WO KAHTA HAI ANAL HAQ YANI MAIN NAHIN HUN SAB WAHI (ALLAH) HAI YANI KHUDA KE SIWA KOI HASTI NAHIN HAI. ✳ NUQTA: H.MANSUR HALLAJ R.A KO US WAQT KE JAAHIL ULMA AUR JAAHIL QAZI NE KUFR KA FATWA LAGAKAR HAZRAT MANSUR HALLAJ KA BEDARDI SE QATAL KARA DIYA LAIKIN NATEEJA KYA NIKLA, AAJ BHI AASHIQAAN E AULIA HAZRAT MANSUR SE MOHABBAT KARTE HAIN AUR QAYAMAT KI SUBAH TAK KARTE RAHENGEY INSHA ALLAH, AUR JAAHIL ULMA KO RUSWAYI MILI QAYAMAT TAK KE LIYE. SUBHAN ALLAH KITAB - SWANEH SHAMS TABREZI R.A
41. Rabubiyat Ek Raaz Hai
- Get link
- X
- Other Apps
Hazr at Imam Ghazali Alaihirrehma Ihya Ul Uloom me likhte hain ke ba'az Aarifo'n ne irshad farmaya hai ke Rabubiyat ka ek raaz hai, agar wo zahir ho to Nabuwwat bekaar hojaye. Aur Nabuwwat ka ek bhed hai, agar wo zahir ho to ilm nikamma hojaye. Aarifo'n ka bhi ek raaz hai, agar wo isko zahir karein to ihkaam shariat bekaar hojaaye. Kitab : Taalim E Ghousia
19.Aajiz Wa Niyaz Se Badhkar Koi Ibadat Nahi
- Get link
- X
- Other Apps
Ek roz Moulana Shamsuddeen Tabrezi ne farmaya, Khwaja Abul Hasan Kharqaani Rehmatullah farmate hain maine ek qadam arsh par rakha aur dusra qadam tahtussara par rakha lekin maqsood ka darwaza band paaya. Jab maine aajzi (gidgidana) aur niyaz (haajat, aarzu) ikhtiyar kiya us waqt matlab hasil hua. Niyaz se zyada koi ibadat nahi hai. Rab ki baargah me aajizi, bandagi aur pashemani (afsos, sharmindagi) ke siwa koi kaam moatbar nahi hai. Kitab : Manaqibe Rumi Subhan Allah
14.Tere Nafs Ka Bhi Tujh Par Haq Hai
- Get link
- X
- Other Apps
Maulana Room ke ashaab riwayat karte hain ke halb me Shamsuddeen Tabrezi madrasah ke ek hujre me 14 mahine tak band rahe. Aur aise sakht mujahide (zikr o askaar) kiye ki ek din bhi hujrah se bahar qadam nahi nikala. Ek din hujrah ke darwaze ae aawaaz aayi ke tere nafs ka bhi tujh par haq hai aur ye wo mehnat hai ke patthar bhi iska mutamal nahi ho sakta. Us waqt aap hanste hue hujrah se bahar aaye aur aitekaaf tark kardiya. Kitab : Manaqibe Rumi Subhan Allah Khulasa : Yaani patthar ko bhi mazbut rehne ke liye hawa pani chaanv ki zarurat hoti hai. To insan ke wajood ko zinda rakhne ke liye bhi rizq ki zarurat hoti hai. Lekin Awliya to Allah ko paane ke liye apne rizq tak ko apne zikr ke beech me aane nahi dete. 14 mahine bagair rizq ke rehna ye khud ek karamat hai. Aur wo rizq bhi utna bhi lete hain jitna wajood ko zinda rakhne ke liye zaruri hota hai. Nahi to jism kamzor padjayega aur maqsad hasil nahi hoga. Aisa nahi ki apni mann pasand acha khana khaate hain. Aisi sakht ri
23. Maidane Hashar Me Maulana Room Aur Hazrat Shams Tabrez
- Get link
- X
- Other Apps
Manqool hai ek din Maulana Room sahab ne farmaya ke qayamat ke din maidane hashar me sab ambiya aur awliya saf basaf khade honge. Ummat ke momineen jama'ato'n ki shakal me jama'a honge. Us waqt mai aur Shamsuddeen haath me haath liye hue kharama'n kharama'n jannat ko jayenge. Kitab - Manaqibe Rumi Aisi hoti hai Peer aur mureed ki mohobbat aur rishta jo duniya aur aakhirat me bhi saath rahegi.
8.Instructions by Allah in the Quran for mankind
- Get link
- X
- Other Apps
Allah ta'ala has directly given us at least 100 instructions through Al Quran : 1. Do not be rude in speech (3:159) 2. Restrain Anger (3:134) 3. Be good to others (4:36) 4. Do not be arrogant (7:13) 5. Forgive others for their mistakes (7:199) 6. Speak to people mildly (20:44) 7. Lower your voice (31:19) 8. Do not ridicule others (49:11) 9. Be dutiful to parents(17:23) 10. Do not say a word of disrespect to parents (17:23) 11. Do not enter parents’ private room without asking permission (24:58) 12. Write down the debt (2:282) 13. Do not follow anyone blindly (2:170) 14. Grant more time to repay if the debtor is in hard time (2:280) 15. Don’t consume interest (2:275) 16. Do not engage in bribery (2:188) 17. Do not break the promise (2:177) 18. Keep the trust (2:283) 19. Do not mix the truth with falsehood (2:42) 20. Judge with justice between people (4:58) 21. Stand out firmly for justice (4:135) 22. Wealth of the dead should be distributed among his family
22.Hazaro'n Jafaayein Ek Wafaa
- Get link
- X
- Other Apps
Hazrat Sultan Wald farmate hain ke ek din Maulana Shamsuddeen Tabrezi khalut me chand mureedo'n se ma'arif wa haqaaiq bayan kar rahe the. Us waqt ye bhi irshad farmaya ke agar kisi shaks ne Allah ke waaste tamam umr me hamare saath ek bar bhi wafaa ki ho aur phir wo hazaro'n jafaayein (zulm, zyaadti, na insafi) kare lekin hamari nazar uski ek wafaa par rahegi. Hum uski jafao'n se hargiz bezaar na honge. Is liye ke usne khaas Allah ke wa aste hum se wafaa ki thi. Jo shaks us wafaa ka haq jaanta hai wo kabhi jafao'n par nazar nahi kar sakta._ K itab : Manaqibe Rumi