3.Tazkira E Hazrat Rabiya Basri Rahmatullah Alaih
Logon ne jab aapse ye sawal kiya ki khuda bande se kis waqt khush hota hai?
Aapne farmaya ke jab banda mehnat par is tarah shukr ada Karta hai jaisa ke Naemat par Karta hai.
Logon ne sawal kiya ke aasee (gunahgar) ki tawba qabool hoti hai ya nahi?
Aapne farmaya ke us waqt tak vo tawba hi nahi kar sakta jab tak khuda usko taufeeq na de aur jab taufeeq hasil hogi to qubuliyat me bhi koi shak nahi raha.
Aur farmaya jab tak qalb (dil) bedaar nahi hota us waqt tak kisi azu (tarah) se bhi khuda ki raah nahi milti aur bedaari qalb ke baad aazaa (jism ke hisse) ki haajat hi khatam hojati hai kyuki qalb bedaar wahi hai Jo haq ke andar is tarah zam (mix, miljaana) hojaye ke phir aazaa ki haajat hi baaqi na rahe aur yehi fanafillah ki manzil hai
Kitab : Tazkiratul Auliya safa 49
Subhan Allah
kehna ye hai ki insan bagair apne dil ko zinda kiye khuda tak pahunch hi nahi sakta. Dil tabhi zinda hoga jab nafs ki maut hogi. Jab insan dil ko zinda Karta hai to vo aisa maqaam hasil karleta hai ki Uske andar khuda ka Noor Roshan hota hai aur khuda me aisa ghuljata hai jaisa ke hadees me aya hai ki aankh insan ki lekin dekhna khuda ka hota hai,kaan insan ke lekin sunna khuda ka hota hai,haath insan ke lekin pakadna khuda ka hota hai,zaban insan ki lekin lafz khuda ke hote hain.

Comments
Post a Comment