9.Namaz Shariat Wa Tareeqat
Ghaus Ul Azam Rehmatullahi Ta'ala Alaih farmate hain,
Jo sharai namaz hai ise tum jaante ho ke Allah Ta'ala
ne farmaya,
"Tamam namazon ki hifazat karo khususan wastaai (darmiyan) ki"
Surah Al Baqarah Ayat 238
"Tamam namazon ki hifazat karo khususan wastaai (darmiyan) ki"
Surah Al Baqarah Ayat 238
Sharai namaz zahiri a'azaa
(haath, pair, wagera) ki harkat wa saknaat se arkaan namaz ko baja laata hai.
Maslan qayaam, ruku, sujood, qa'ud, awaaz aur qiraat Quran wa tasbihaat wagerah
ki adaigi hai is sabab se ,
Baharhal jo namaz tareekhat hai wo daaimi (hamesha,
continuous, always) aur qalbi (dili) namaz hai. Is ayat me kalmah wastaai se
muraad qalb hai isliye ke qalb jism ke wast me (darmiyan) hai.
Chunanche irshad Mustafa Sallallahu Ta'ala
Alaihiwasallam hai,
"Aulaad Adam ke dil Allah Ta'ala ke do ungliyon ke darmiyan hai (jaise iski shaan hai). Wo jis taraf chahta hai dilon ko pherdeta hai. Do ungliyon se muraad Allah Ta'ala ke qahar aur lutf ki sifatein hain.

Ayat kareema aur hadees shareef
ae wazeh hua ke haqeeqi namaz qalbi hai (yaani dil ki). Jab insan is namaz se
ghafil hua to iski namaz fasid hogai. Jab qalbi namaz hi na rahi to iski zahiri
(shariat) namaz bhi batil thahregi.
Chunanche Nabi E Kareem Sallallahu Ta'ala
Alaihiwasallam farmate hain,
" La salata illa bihuzuril qalb'
Huzur qalb ke siwa namaz hoti hi nahin.
Isliye ke namazi to Allah Ta'ala ki baargah me manaajaat (zikr) karta hai, pukarta hai, aajizi wa inkasaar ka izhar karta hai. Jab ke manaajaat ka asli maqaam to dil hi hai aur jab dil hi ghaflat ka shikar hogaya to iski batini namaz batil hi thahregi. Yu iski zahiri namaz bhi fasid hojayegi kyuki baat to dil se hi banti hai jo markaz aur buniyad hai. Baaqi a'azaa to iske taabe hain.

Isliye Nabi E Kareem Sallallahu Alaihiwasallam farmate
hain,
Insan ke jism me ek gosht ka lothda hai. Wo durust ho to saara jism durust. Agar wo kharab hojaye to saara jism kharab hojayega. Aagah hojaye wo dil hai.
Insan ke jism me ek gosht ka lothda hai. Wo durust ho to saara jism durust. Agar wo kharab hojaye to saara jism kharab hojayega. Aagah hojaye wo dil hai.
Baharhal namaz shariat ke liye shab wa roz me 5 waqt
muqarrar hain aur sunnat ye hai ke ise bila riyakari, dikhawe ke masjid me
jakar qiblah rukh imam ke piche ba jama'at ada ki jaaye.
Magar namaz tareekhat ke liye koi
khaas waqt muqarrar nahi. Ise daaimi taur par ada karte rehna chahiye. Iske
liye tamam umr darkar hai. Is namaz ki adaaigi ki masjid dil hai. Aur iski
jama'at a'azaa wa qawaa hai aur iska imam dil ka jazba e ishq hai aur iska
qiblah khud zaat khudawandi hai. Dil aur rooh hamesha hamesha is namaz me
mashghool rehte hain.
Iske liye dil ko har cheez se saaf
sutra rakhna hai, dil me khuda ke siwa kisi aur ko basana nahi hai, yaani nafs
ka khaatma karna hai.
Isliye to buzurgaane deen apne mureedon ko pehle qalb ki safai karne ka hukm deta hain zikr ke zariye.
Isliye to buzurgaane deen apne mureedon ko pehle qalb ki safai karne ka hukm deta hain zikr ke zariye.
Comments
Post a Comment