8.ASBAAT ILM

Hazrat Daata Ganj Bakhs Ali Hujweri Rehmatullahi Ta'ala Alaih farmate hain,
🌾Maine awaam ka ek giroh aisa dekha hai jo ilm ko amal par fazeelat deta hai aur dusra giroh aisa hai jo amal ko ilm par tarjeeh deta hai. Ye dono aqeede batil hain. Kyunki amal bagair ilm kisi tarah bhi amal kehlane ka mustahiq nahin. Amal wohi sahih hota hai jo ilm ki roshni me hasil ho aur aise hi amal se bandah sawab ka haqdaar hota hai.
🌾Jaise ke namaz, namaz nahin hoti jab tak namaz qaaim karne wale ko arkaan tahaarat ka ilm, pani ki pehchan, qiblah ki waqfiat, niyyat namaz ki kaifiyat aur arkaan namaz ka ilm na ho. Garz jab amal ki buniyad ilm par hai to in dono me tafreeq mahaz jahalat hai.
🌾Isi tarah ilm ki amal par fazeelat samajhna bhi ghalti hai. Kyunki ilm be amal ko ilm be amal ko ilm nahi kaha ja sakta.

📕Kashf Ul Mahjoob

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

1.ILM WA HIKMAT KA DARWAJA MAWLA ALAIHISSALAM HAIN

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez