8.Murshid Ki Tashreeh
Murshid Kaun Hota Hai? Ya Murshid Kise Kehte Hain?
Lafz murshid bhi 4 haruf par
mustamil hai.
1. Meem haruf se ye muraad hai ke wo "al momin
miraatul momin (momin, momin ka aaina hai) ka misdaaq ho. Allah ko ek maanta ho
aur israare ilahi (yaani Khuda ki Maarifat hasil kiya ho) se waqif ho, meherban
ho (yaani karam karnewala ho), har ek wali Allah aur Nabi Allah ki majlis me
pahunchaane wala ho aur saari zindagi bakhashne wala ho.
2. Ra haruf se muraad ye hai ke duniya ki janib raghib
na ho aur na hi aakhirat ki taraf mutawajja ho, balke Allah Ta'ala ki qaza'a
par raazi ho.
3. Sheen haruf se muraad ye hai ke wo la makaani
noor qudrat aur israre rabbani ka shahbaz ho.
4.daal haruf se muraad ye hai ke iska dil tauheed
fillah ke darbar me gharq rahe aur daaimi taur par Huzur Nabi E Kareem Raoofur
Raheem Alaihissalam ki majlise aqdas ki hazuri use hasil ho.

SubhanAllah 💖 💝 💖
ReplyDelete