6. IBADAT E HAQ
Ghaus
Ul Azam Shaikh Abdul Qadir Jeelani Razi Allahu Ta'ala Anhu farmate hain,
Jaisa ke Allah ta'ala ne
farmaya,maine jinon aur insano ko ibadat ke liye paida farmaya hai,yaani meri
maarifat ke liye kosha'n (pahunchna) rahe.
Kyu ke jo is zaat haq ta'ala ki maarifat nahi rakhega wo iski ibadat kaise kar payega.
Kyu ke jo is zaat haq ta'ala ki maarifat nahi rakhega wo iski ibadat kaise kar payega.
*Maarifat ilaiyyah! Qalb ki safai aur aainah dil se
khwahishat nafsaniyah ki mail kacheel (gandagi) ko dur karne se hi hasil ki ja
sakti hai. Aur jab maarifat ilahi hasil hojati hai to jamali kanz makhfi (chupa
hua) ka dil ki intehai gehrai maqaam se mushahidah mumkin hota hai.
*Chunanche hadees qudsi me hai Allah Ta'ala farmata
hai,
Mai makhfi (chupa hua) khazana tha, pass mujhme mohobbat hui ki meri pehchan ho to maine makhlooq ki takhleeq shuru farmadi.
Taake wo meri maarifat se behrahmand (bakhabar) ho.
Mai makhfi (chupa hua) khazana tha, pass mujhme mohobbat hui ki meri pehchan ho to maine makhlooq ki takhleeq shuru farmadi.
Taake wo meri maarifat se behrahmand (bakhabar) ho.
*Lihaza ye baat achi tarah se wazeh hogai ke Allah
ta'ala ne insan ko apni maarifat ke liye hi takhleeq (banana, paida karna,
create) farmaya hai.
Chupa hua khazane ka raaz tabish
khul gaya jab jahan me sarwar e duniya wa deen paida hue (Sarkar E Do Alam
Sallallahu Alaihiwasallam).
*Kitab : Sirrul Asrar
*Kitab : Ghaus E Pak Razi Allahu Anhu ko har koi ala
darje ke wali maanta hai chahe wo sunni ho ya ghair sunni.
Ghaus E Pak khud farma rahe hain
ki jab tak banda Allah ke irade par kahda nahi utarta tab tak uski ibadat kaise
sila degi.
Yaani jis maqsad se Allah ta'ala
ne insan ko paida kiya (Allah ta'ala ki pehchan,uski maarifat hasil karne ke
liye) us maqsad ko chodkar insan ibadat karega to uski ibadat uske rab ke noor
tak nahi pahunchayegi.
Yaani Allah ta'ala ne insan ko
paida kiya kuch kaam ke liye lekin insan masroof hogaya kuch aur kaam me (yaani
bagair maarifat e ilahi ke ibadat me).
Allah Ta'ala ki pehchan tab hogi
jab kamil peer se bait honge kyu peer wo hota hai jo khuda ki maarifat hasil
kiya hua hota hai. Ab jiske pas maarifat ka ilm hoga wohi hame bata sakta hai
ki Allah ki pehchan kaise karni hai aur isika naam bait hona hai.
Har cheez ghum phirke bait par
aakar rukti hai jisse ye wazeh hota hai ki bait ke bagair koi chaara nahi hai.
Warna saari zindagi aisi ibadat me phasjayenge jo sirf dil ki tasalli ke liye
hoti hai.
Comments
Post a Comment