6.Waseela Ka Mafhoom Aur Sharai Haisiyat
Al Quran :
Aye imanwalon taqwa ikhtiyar karo
aur Allah ki taraf waseela pakdo
Surah Maidah Ayat 35
Waseela ka lughvi maana wazeh
raasta hai aur aisa raasta hai Jo manzile maqsood tak pahuncha de aur is had tak
ma'aon wa madadgar ho ke haajat mand ki haajat baaqi na rahe. Aur is waseela ki
badaulat wo maqsoodi zindagi hasil karke mutmain hojaye.
Lisaanul Arbi Jild 11 Safa 725 me
waseela ki tareef yu ki gayi hai, "jiske zariye kisi dusri cheez ka qurb
hasil kiya jaaye ise waseela kehte hain.
Sharai istalah me waseela ye hai
ki Allah Ta'ala ka qurb (nazdeeki) hasil karne ke liye kisi aisi hasti ko waseela
banaya jaaye Jo Allah Ta'ala ke nazdik mehboob aur pasandida ho.
Tasawwuf me isse muraad murshid haadi ya peer hai.
Tasawwuf me isse muraad murshid haadi ya peer hai.

Comments
Post a Comment