4.Hazrat Bishra Haafi Rahmatullahi Alaih Ke Jazab Ka Qissah

*Allah Ta'ala ne Bishra Haafi Rahmatullahi alaih ko sharab ke haalat me jazba kiya tha.
(Jazab Karna - Apne Andar Kheenchna)
*Bishra Haafi sharab ke nashe me madhosh the, pair ladkhada rahe the, achanak dekha ki zameen par kagaz ka ek tukda pada hua hai jis par bismillah shareef likhi hui hai. Fauran kaha ke, Ah! Mere Allah ka naam zameen par padha hua hai. Fauran use uthaya,saaf kiya,attar lagaya aur usi behoshi ki haalat me,sharab ke nashe ki haalat me upar ek taaq par rakh diya.
*Raat ko khwab me Allah Ta'ala ne farmaya aye Bishra tu sharab ke nashe se behosh tha lekin mere naam se bahosh tha. Mere naam ko tune us waqt bhi faramosh nahi kiya jis waqt sharab ke nashe me saari duniya faramosh kiye hue tha. Bas Allah ne unhe jazab karliya aur farmaya aaj se tumhara naam Awliya Allah ke register me darj hai.
*Subah jab sokar uthe to sharab ke matke ko tod diye, saari botalein tod di aur tahjud wa zikr wa fikr me lag gaye. Phir Allah ne unhe wo maqaam ata kiya ki Imam Ahmed Bin Hambal rahmatullahi alaih jab hadees padhate the agar us waqt Bishra Haafi rahmatullahi alaih ziyarat ke liye tashreef le aate to Imam Ahmed Bin Hambal hadees rahmatullahi alaih padhate padhate khade hojate the.
*Talib (Imam Ahmed Bin Hambal ke students) kehte the ki aap ek ghair alaim ke liye kyu khade hote hain?
Farmaya mai kitabullah ka alim hu aur ye Allah ka alim hai, yaani ye Allah ko jaanta hai. Bishra Haafi Allah ka jazab kiya hua maqbool bandah hai isliye mai iska ikraam Karta hun.
*Ek din Bishra Haafi Rahmatullahi alaih ek ayat tilawat kar rahe the, "walardwa farashnaaha fani'mal maahidun" aur humne tumhare liye zameen ko farsh banaya hai.
Bas Jo tha utaar kar phenk diya aur kaha mai Allah ke farsh par juta pehenkar nahi chalunga. Lekin mai ye arz kardun ke ye deen ka maslah nahi hai ki aap log bhi juta na pehno.
*Bishra Haafi Rahmatullahi alaih par to ek haal taari hogaya tha aur wo nange pair chalne lage the. To Allah Ta'ala ne unko ye karamat bakhshi ke vo zameen par jahan najasat (gandagi) hoti thi aur ye wahan se guzarte the to zameen phat jaati thi. Allah Ta'ala zameen ko hukm deta tha ki aye zameen to phat kar najaasat nigalja, mera aashique Bishra Haafi araha hai jisne mere liye jute utaar phenke the.
*Jo Allah Ta'ala ko chahta hai, Allah Ta'ala bhi usko chahta hai. Agar pyase pani ko talaash karte hain to pani bhi apne pyason ko talaash Karta hai. Jo Allah ki justaju karte hain, Allah bhi unko talaash karleta hai.
Subhan Allah
Kitab : Asli Peer Ki Pehchan, Safa 32
*Khulasa :
1.Allah Ta'ala har cheez par qadir hai. Har koi Awliya Allah nahi ban sakta lekin Allah Ta'ala jise chahe chunleta hai.
2.Aur ghaur karein ki Imam Ahmed Bin Hambal Rahmatullahi Alaih khud ek bade alaim the, hadeeson ke maahir the Jinke naam par hambali maslak chalta hai aur Jinke likhe hue hadeeson ki kitabein hain, jab Awliya Allah ko dekhe to tazeem ke liye khade hogaye aur farmaya mai to bas kitab ka ilm rakhta hu lekin Awliya Allah to Allah ka ilm rakhte hain jisne kitabullah utara, Allah ke kareeb wale hain uske dost hain aur mujhse zyada ye Allah ko jaanta hai.
3. To pata chala ki kitabein padhkar koi haq ki talaash nahi kar sakta, koi khuda ki pehchan aur uski maarifat hasil nahi kar sakta, koi alim nahi ban sakta. Padhe hue kitabon ka sahi ilm hasil karne ke liye Awliya Allah ki sohbat me rehna zaruri hai, unke mureed unke shagird banna zaruri hai jaisa ki Gaus E Pak rahmatullahi alaih ka farman hai ki Aye madrase se farigh hone wale ulama, masjid ke mimber samhalne se pehle kisi Allahwale ki sohbat me raho, unki jutiyan uthao tab jakar tumhe aur tumhare ilm ko bulandi milegi.

Allah Ta'ala hum Awliya Allah ka mureed banaye taki hum haq ki pehchan kar sakein.

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

1.ILM WA HIKMAT KA DARWAJA MAWLA ALAIHISSALAM HAIN

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez