30.Syeduna Zaid Razi Allahu Ta'ala Anhu Ka Haal Maulana Rumi Ki Zabani
*Ek din subah ke waqt Rasool Allah Sallallahu Alaihiwasallam ne Zaid Razi Allahu Ta'ala Anhu se farmaya,
"Aye rafeeq baasafa! Teri subah kaisi hai, tera kya haal hai"
Unhone farmaya, Ya Rasool Allah mai to ek bandah momin hu.
"Aye rafeeq baasafa! Teri subah kaisi hai, tera kya haal hai"
Unhone farmaya, Ya Rasool Allah mai to ek bandah momin hu.
Phir inse farmaya, agar tujh par imam ke baagh ka koi nishan zahir ho to bata.
Unhone arz kiya, "mai bahut dino se pyasa tha aur raat ko bhi ishq wa sooz ke maare hargiz nahi sota tha"
Azl wa abd ka aisa ittehad hai ke wahan aql ko yaqeen ki raah nahi milti.
Unhone arz kiya, "mai bahut dino se pyasa tha aur raat ko bhi ishq wa sooz ke maare hargiz nahi sota tha"
Azl wa abd ka aisa ittehad hai ke wahan aql ko yaqeen ki raah nahi milti.
Farmaya, is raah par aankhein band karke dost ke saath chal, ye baat aql wa fahem me aane ke layaq nahi hai.
*Aap Hazrat Zaid ne arz kiya,
*Logon ko to aasmaan bhi achi tarah nazar nahi aata jabke mai arsh ma'ala ko arsh walon ke saath dekhta hu.
*Aathon jnnatein aur saaton dozakh mere aankhon ke saamne hain.
*Mai makhlooq me se fauran pehchanleta hu balke jis tarah ke jou me gandum chuki me se nazar ajata hai. Aur mujhe ye malum hojata hai ke kaun bahashti hai aur dozakhi kaun hai.
*Paidaishi ke din se hi jis tarah wo hain, mai un sab mard aur aurton ko zahir dekhta hu.
*Ya Rasool Allah agar hukm ho to mai hashr ka raaz bhi bayan karun aur agar hukm ho to mai aaj hi roz e qayamat paida kardun. (Subhan Allah)
*Agar aap ijazat dein to mai pardah faash karun taake mera chamakta hua moti suraj ki tarah chamakne lage.
*Chamak damak se suraj ko bhi grahan lag jaaye aur mai naql aur baid ko bhi (yaani ache bure ko) zahir kardun.
*Roz e paidaish ko bhi zahir kardun. Naqad ko bhi aur khute khare, mile jule ko bhi.
*Shumaal walon ke kate hue haath aur kufr wa Islam ke rang ko bhi zahir kardun.
*Mai nufaaq ke saath sooraakh bhi zahir kardun, chand ki roshni me baghair kisi pardah poshi ke.
*Dozakh aur jannat aur barzakh bhi darmiyan me maujood hai. Mai kafiron ke nigahon ke saamne inko le aaun.
*Hauz e kausar ke josh maarte hue pani ko bhi zahir kardun aur ahle iman ke liye iska pani kis tarah se uchalta hai iski aawaz sunadun.
*Jo bhi pyaase hauz e kausar ki taraf daudte hain, mai zahir kardun taake malum hojaye ke iske talib kaun hain.
*Ahle iman ke kaandhe mere kaandhon se takrate hain. Inke shauq ke naare mere kaano me gunjte hain.
*Ahle jannat meri nazron ke saamne muntazir hain aur khushi ke alam me ek dusre se bagal gair hote hain. Ek dusre se musahfa karke mulaaqaat karte hain aur ek dusre ka muh chumte hain.
Maine ye jo ishaare bayan kiye hain is (raaz kholne ke sabab) me Rasool E Akram Sallallahu Alaihiwasallam ki naarazgi se darta hu.
*Jab is qism ke chupe raazon ki baatein is sarmat ishq wa sooz ne bayan ki to Sarkar E Do Alam Sallallahu Alaihiwasallam me Hazrat Zaid Razi Allahu Ta'ala Anhu girebaan mubarak ko pakadkar palaya aur farmaya,
Khabardar ! Mai tumse kehta hu tum apni saans band karlo aur raaz ke baare me baat cheet khatam karo aur Mustafa Sallallahu Alaihiwasallam ne unse baat khatm kardi.
Phir aapne farmaya tum apni guftagu ko roklo, tumhara ghoda bahut garam hogaya hai (yaani tum bahut josh me agaye ho).
Is par aap Hazrat Zaid sharm saar hogaye.
Phir aapne farmaya tum apni guftagu ko roklo, tumhara ghoda bahut garam hogaya hai (yaani tum bahut josh me agaye ho).
Is par aap Hazrat Zaid sharm saar hogaye.
Tera aaina apne ghilaf se bahar agaya, jab ke aaina wa mezaa'n kabhi khilaf nahi kiya karta.
Kitab : Taalime Ghausiah
Subhan Allah! Isme kayi maarifat ke raaz chupe hue hain aur samajhdar isko bakhub samjhega.
Comments
Post a Comment