2. Kalme Se Nawaqifi
Hazrat Khwaja Syed Mohammed Baadshah Qadri Chisti Yamni Qadeer Ka Dil Dehla Denewala Waqiya
*Aap pehle se ek buzurg se bait me the. Ek martabah aapke pas ek buzurg aaye aur farmaye ki kalma padho dekhun to kaise padhte ho. Aapne kaha mai to rozana hazaron bar kalma padhnewala hu. Buzurg ne farmaya maine jo kaha wo karo. To aapne buland aawaz se "La Ilaha Illallahu Muhammadur Rasoolullahi" kaha. Buzurg ne farmaya jis tarah zaban se kalma ada kiya usi tarah dil se ada farmayein. Aapne kaha dil hi se ye sada nikli hai. Buzurg ne farmaya dil aur hai zaban aur hai. Aur farmaya "La Ilaha Illallahu Alfu Marratin Illa Bitahqeeqin fahuwa kafirun" yaani hazar bar bhi bagair tahqeeq kalma padhe to bhi kafir hai. Iski tahqeeq hum sab par farz hai aur kaha ki jao apne shaikh se pucho sach hai ya jhut.

*To aapne apne shaikh se saara waqiya bayan kiya. Is par aapke shaikh ne farmaya tumhari umar abhi choti hai aur ye sab badi baatein hain. Tumko jo zikr diya gaya hai o kaafi hai, jab tumhara hausla badhega tab dekha jayega.
Aapne farmaya mujhe shak hai mai musalman nahi hu,iska ilaaj kijiye taaki mai un buzurg ko jawab de sakun. Aapke shaikh ne farmaya mere pas yehi jawab hai.
*Aap wapas un buzurg ke pas gaye aur saara waqiya bayan kiya. Un buzurg ne farmaya,miyan aap khandani saadat ho (yaani Syed ho) tumhare hi ghar se nikli hui amanat hai. Maine jo kuch kaha Allah Ta'ala ka hukm aur Rasool Allah Sallallahu Alaihiwasallam ka farman hai.
Pehla farz Kalma ko jaanna bhi farz hai. Pehla farz hi nahi pata to aage ke farz namaz,roza,hajj,zakat kaise karoge.
Kalma Islam ka sabse bada farz hai aur isse bada farz koi nahi. Duniya me nahi samjhoge to aakhirat me pachtaoge.
Kalma Islam ka sabse bada farz hai aur isse bada farz koi nahi. Duniya me nahi samjhoge to aakhirat me pachtaoge.
Aapne arz kiya, huzur khadim aapke daste muqaddas par bait karta hai. Mujhe wo israr (raaz) samjhayein aur haqeeqi ma'anon me musalman banaye. Un buzurg ne kaha tumhare shaikh ki chitthi ya ijazat le aao phir dekha jayega.
*Aap phir apne shaikh ki khidmat me aaye aur kaha ki agar aap wo raaz wa niyaz nahin samjhayenge to mai khud khushi par majbur hu kyuki mai musalman nahi hu aur aisi zindagi se maut behtar hai. Aapke shaikh ne kuch nahi kaha aur aakhir aapki faryad puri nahi hui.
*Aap majburan un buzurg ke pas wapas gaye aur saara waqiya sunaya. Buzurg ne farmaya khair mai bhi apne rehnuma (peer) se ijazat talab karta hu.
*Iske baad aapki haalat ajeeb hogayi. Aksar namaz ada karte lekin khushu khuzu (Jazba E Shauq) naseeb nahi hua. Dil hi dil me rote rahe. Aakhir dil ne mashwara diya is zindagi se maut behtar hai. Aapne khud khushi karneka saara intezam karliya.
Phir khayal aya ki ek bar shaikh ke pas jakar aayein. Wahan pahunche to aapke peer ne farmaya aapke liye hukm hua hai, aap bait yaani talib ho sakte hain. Phir dil ka wo armaan pura hua, goya dil ki duniya aabaad hogayi.
Kitab : Gulzaare Qadeer
SubhanAllah 💖
ReplyDelete