1.KALMA KI HAQEEQAT KO NA JAANNA KYA HAI
Rasool
E Kareem Sallallahu Alaihiwasallam ne farmaya,
"Laisal mo'minunal zaina
yajmaoona fil masajid wa yaquluna La Ilaha Illallaha alal rasm"
Yaani jo log masjidon me jama
hokar mahaz rasmi taur par kalma padhte hain wo momin nahin.
Rasmi taur par kalma padhnewale haqeeqat me iman se bekhabar hain. Wo bazahir momin balke munafiq hain.
Rasmi taur par kalma padhnewale haqeeqat me iman se bekhabar hain. Wo bazahir momin balke munafiq hain.
Isliye zabani zahiri se to La
Ilaha Illallahu kehte hain lekin haqeeqat se bebahar (anjaan) hain. Nahi jaante
ki kalma kya hai. Iska maqsood kya hai. Ma'ani kya hai.
In ma'anon me La Ilaha kehta hai ke, hain aur nahi hai kehte hain aur aakhir me hast.
In ma'anon me La Ilaha kehta hai ke, hain aur nahi hai kehte hain aur aakhir me hast.
*Is tarah waham wa shak me padjate hain jo a'in kufr
hai. Rasmi kalma ko goyai zaban ke siwa aur bajaz (uske ilawa) zabani jama'a
kharch kuch nahi jaante ke kiski nafi (oppose, reject, inkar) kar rahe hain aur
kiska asbaat (maanna).
*Kitab : Gulzaare Qadeer
Khulasa: Deen E Islam ka pehla farz Kalma hai.
Kalma sirf zahiri taur se padhke zahiri maaine samjhenge to kuch fayda nahi,balke kufr ka shikar hojayenge kyu ki isme La (nahi) aur Ilaha (hai) dono ko maan rahe hain. Bina samajhke padha hua Kalma bajaye fayde ke nuqsan karega kyu ki isme pehle nahi bol rahe hain aur phir hai bol rahe hain, isme ulajh kar insan samajh nahi paata ki kisko maan raha hai aur kiska inkar kar raha hai. Samajhenge tabhi to jaan payenge ki kya bol rahe hain kyu bol rahe hain.

Isliye Sarkar ne farmaya sirf
rasmi taur pe kalma padhenge to Iman wala kaise hoga jabki use kalma ke maaine,
uski haqeeqat hi nahi pata hogi. Jo padh raha hai usiko nahi jaanta aur sirf
zabani taur pe padhne se koi fayda nahi hai.

🌷💖🌷
ReplyDeleteKalme Ki hakikar se her koi wakif nahi hota jab kalma hi sahi nahi to sari ebadat bekar h chahe aap ketne sal k namazi q na ho
ReplyDelete