14. WILAYAT KYA HAI


Wilayat ka lafz wali ke mushtaq hai. Is ke ma'ani qurb (nazdeeki) ke hain. Wilayat ki do qismein hain. Ek wilayat aam aur dusri wilayat khaas.
Aam me to tamam momineen shamil hain. Irshad baari ta'ala hai,
"Allah Ta'ala imanwalon ka dost hai, inko andheron se noor ki taraf nikaal leta hai"
Wilayat khaas sirf saalikeen raah ma'arifat ke liye makhsoos hai. Jo sufiya e kiraam aur Awliya e uzaam ke mubarak naam se yaad kiye jaate hain.
 Muraad ye hai ke jo banda khuda ki zaat me fana ho kar daaimi (hamesha) zindagi hasil karleta hai wo wali hai. Jaisa ke buzurg farmate hain wali wo hai jo faani fillah aur baaqi billah ho. Fana se muraad ye hai ke Allah Ta'ala tak iski sair (sair Ali Allah) ki inteha hi aur baqa se muraad ye hai ke khuda ki zaat me sair (sair fillah) ki ibteda'a ho. Sair fillah us waqt sabit hoti hai ke fana e mutlaq ke baad (mukammal fana ke baad) bande ko ek aisa wajood ata hojaye jo hadus ki aludgi se pak aur manzarah ho aur phir wo is wajood se alam sifaat me sifaat alaih aur ikhlaqi rabbani ke saath tarqi karta rahe.
Kitab : Manaqibe Rumi

Comments

Popular posts from this blog

1.MAKHLOOQ KI TAKHLEEQ KA MAQSAD

1.ILM WA HIKMAT KA DARWAJA MAWLA ALAIHISSALAM HAIN

17.Mawlana Rumi Aur Hazrat Shams Tabrez