12.Hazrat Khwaja Syed Mohammed Baadshah Qadri Chisti Yamni Qadeer Ka Dil Dehla Denewala Waqiya
*Aap pehle se ek buzurg se bait me the. Ek martabah
aapke pas ek buzurg aaye aur farmaye ki kalma padho dekhun to kaise padhte ho.
Aapne kaha mai to rozana hazaron bar kalma padhnewala hu. Buzurg ne farmaya
maine jo kaha wo karo. To aapne buland aawaz se "La Ilaha Illallahu
Muhammadur Rasoolullahi" kaha. Buzurg ne farmaya jis tarah zaban se kalma
ada kiya usi tarah dil se ada farmayein. Aapne kaha dil hi se ye sada nikli
hai. Buzurg ne farmaya dil aur hai zaban aur hai. Aur farmaya "La Ilaha
Illallahu Alfu Marratin Illa Bitahqeeqin fahuwa kafirun" yaani hazar bar
bhi bagair tahqeeq kalma padhe to bhi kafir hai. Iski tahqeeq hum sab par farz
hai aur kaha ki jao apne shaikh se pucho sach hai ya jhut.
*To aapne apne shaikh se saara waqiya bayan kiya. Is
par aapke shaikh ne farmaya tumhari umar abhi choti hai aur ye sab badi baatein
hain. Tumko jo zikr diya gaya hai o kaafi hai, jab tumhara hausla badhega tab
dekha jayega.
Aapne farmaya mujhe shak hai mai
musalman nahi hu,iska ilaaj kijiye taaki mai un buzurg ko jawab de sakun. Aapke
shaikh ne farmaya mere pas yehi jawab hai.
*Aap wapas un buzurg ke pas gaye aur saara waqiya bayan
kiya. Un buzurg ne farmaya,miyan aap khandani saadat ho (yaani Syed ho) tumhare
hi ghar se nikli hui amanat hai. Maine jo kuch kaha Allah Ta'ala ka hukm aur
Rasool Allah Sallallahu Alaihiwasallam ka farman hai.
Pehla farz Kalma ko jaanna bhi
farz hai. Pehla farz hi nahi pata to aage ke farz namaz,roza,hajj,zakat kaise
karoge.
Kalma Islam ka sabse bada farz hai aur isse bada farz koi nahi. Duniya me nahi samjhoge to aakhirat me pachtaoge.
Kalma Islam ka sabse bada farz hai aur isse bada farz koi nahi. Duniya me nahi samjhoge to aakhirat me pachtaoge.
Aapne arz kiya, huzur khadim
aapke daste muqaddas par bait karta hai. Mujhe wo israr (raaz) samjhayein aur
haqeeqi ma'anon me musalman banaye. Un buzurg ne kaha tumhare shaikh ki chitthi
ya ijazat le aao phir dekha jayega.
*Aap phir apne shaikh ki khidmat me aaye aur kaha ki
agar aap wo raaz wa niyaz nahin samjhayenge to mai khud khushi par majbur hu
kyuki mai musalman nahi hu aur aisi zindagi se maut behtar hai. Aapke shaikh ne
kuch nahi kaha aur aakhir aapki faryad puri nahi hui.
*Aap majburan un buzurg ke pas wapas gaye aur saara
waqiya sunaya. Buzurg ne farmaya khair mai bhi apne rehnuma (peer) se ijazat
talab karta hu.
*Iske baad aapki haalat ajeeb hogayi. Aksar namaz ada
karte lekin khushu khuzu (Jazba E Shauq) naseeb nahi hua. Dil hi dil me rote
rahe. Aakhir dil ne mashwara diya is zindagi se maut behtar hai. Aapne khud
khushi karneka saara intezam karliya.
Phir khayal aya ki ek bar shaikh
ke pas jakar aayein. Wahan pahunche to aapke peer ne farmaya aapke liye hukm
hua hai, aap bait yaani talib ho sakte hain. Phir dil ka wo armaan pura hua,
goya dil ki duniya aabaad hogayi.

Comments
Post a Comment