11. Haqeeqi Masjid
Maulana Rumi Rehmatullahi Alaih farmate hain,
Nabi E Kareem Sallallahu Alaihiwasallam
ka irshad hai ke Allah Ta'ala farmata hai,
"Mai na niche na upar sama
sakta hun"
"Aye azeez yaqeen rakh mai
zameen aur aasmaan me nahi sama sakta"
"Mai momin ke dil me sama
jata hun ye ajeeb baat hai.
Agar mujhe dhundna chahta hai to momin ke dil me talaash kar le"
Agar mujhe dhundna chahta hai to momin ke dil me talaash kar le"
"Ahmaq log masjid ki bahut
tazeem karte hain magar ahle dil ko tang karne me koi kasar nahi chodte"
"Aye aqal ke andhon, eenton
aur pattharon ki masjid to ek mijazi cheez hai. Haqeeqi masjid to mardaan Khuda
ke dil me hai aur aisi masjid ke misl aur koi maajid nahin"
"Masjid jo Awliya Allah ke
dilon me hai tamam makhlooq ki sajdagah hai kyuki wahan Khuda muqeem hai"
"Kaabah to khaleelullah ke
haathon ka bana hua hai lekin dil Rab jaleel ki guzargah hai"
Comments
Post a Comment