10.Jhute Maabudon Ko Chod Haq Ta'ala Ko Pakad
Huzur Gaus E Azam Rehmatullahi Alaih farmate hain,
Sahibzade! Tu kuch bhi nahi. Na tera Islam hi sahi hua
jo buniyad hai aur jis par taameer hui hai aur na teri shahadat (tauheed wa
risalat) kamil hui. Tu kehta hai ki nahi koi maabood siwaye Allah ke. Jhut
kehta hai kyuki maaboodon ka ek bada giroh tere dil me maujood hai. Apne
badshah apne meer mohalla se tera darna tere maabood bane hue hain. Apni kamai
apna nafa apni taqat apni quwwat apni sama'at apni basarat aur apni giraft me
tera aitemaad karna tere maabood bane hue hain.
Maqlookh me bahut log hain jo apne dil se in cheezon
par bharosa kiye hue hain aur zahir ye karte hain ke inka bharosa khuda par
hain. Inka haq ta'ala ko yaad karna mahaz aadat hai aur wo bhi sirf zabanon se
aur jab iski jaanch ki jaati hai to bhadak uthte hain aur kehte hain humko aisa
kyu kaha jaata hai, kya hum musalman nahi?
Kal ko saari fazeehatein khul jayenge aur makhfiyat zahir hojayenge. Tujh par afsos jab tu kehta hai tu apni baat ki puch karta hai,
La Ilaha ki nafi hai aur Illallah ki asbaat hai ke maaboodiyat sirf Haq Allah ke liye hai kisi ghair ke liye nahi.
Kal ko saari fazeehatein khul jayenge aur makhfiyat zahir hojayenge. Tujh par afsos jab tu kehta hai tu apni baat ki puch karta hai,
La Ilaha ki nafi hai aur Illallah ki asbaat hai ke maaboodiyat sirf Haq Allah ke liye hai kisi ghair ke liye nahi.
Pass jis waqt bhi tere dil ne haq ta'ala ke siwa kisi
par aitemaad kiya to maaboodiyat ko haq ta'ala ke liye makhsoos karne me tu
jhuta bangaya aur wohi tera maabood bana jis par tune aitamaad kiya.
Zahir ka kuch aitbaar nahi, dil hi hai jiske saath
iman ka talluq hai, wohi mohid hai wohi mukhlis wohi muttaqi wohi parhezgar
wohi zahid wohi sahibe yaqeen wohi arif amil aur dardar. Baki sab iske shukr
aur matahat hain.
Comments
Post a Comment